Saturday, September 11, 2010

derd sms


Dil lagi dosti ke naam hoti hai , dildari dosto ki shaan hoti hai.
Kahi bhi raho per rahoge dil me mere , yahi sachchi dosti ki pehchan hoti hai.

Hamne jisko chaha use pa na sake , jisne hamko chaha use apna na sake.
Ye samjho dil tutne ka khel tha kisi ka dil toda aur apna bacha na sake.

Na chaho kisi ko itna ki uski chahat tumhari kamjori ban jaye.
Usey chaho kuch ess tarah, ki tumhari chahat uski zarurat ban jaye.

Dil se nikli dua hai hamari , zindagi me mile aapko khushiya saari.
Gum na de khuda aap ko kabhi , chahe to hamari khushiya lele saari.

Khaamosh se tum rehne lage ho ,intezaar kisi ka karne lage ho.
Yaqeenan kisi se hui hai mohabbat , bina baat ke hi muskurane lage ho.


Jab se dekha hai maine tujhe , dil mein bas tera hi khayal rehta hai.
Tujhse milne ki chaah mein , har pal ye dil beqaraar rehta hai.

Dil se dil yun juda nahi hote, log kisi pe yun hi fida nahi hote.
Pyar se achhi to dosti hi hai, kyonki dost kabhi bewfa nahi hote.


Ek ada aapki dil churane ki , ek ada aapke dil mein bas jane ki.
Ye chehra aapka chaand sa , aur hai zid hamari ye chaand paane ki.


Tamanna karte ho jin khushiyon ki , wo khushiyan aapke kadmon mein ho.
Khuda aapko wo haqiqat mein de , jo socha  aapne sapno mein ho.


Todne ke liye vada kiya nahi jata , soch samajh ke pyar kiya nahi jata.
Mehboob ho ya dost ho , uske bina ek pal bhi jiya nahi jata.

Teri justajoo mein bikhar jana chahta hoon kisi shab kahin theher  jana chahta hoon.
Tera intezar bahut hua , teri roobru ab bifar jana chahta hoon.

Pal pal chaha maine rab se , ki kuch pal ke liye tum saath  raho.
Un palon ka saath kuch aisa ho , ki har pal tum hi tum yaad raho.

Jaam se jaam peene se kya faayda , shaam ko pi subah tak utar gayi.
Do boond mere pyaar ki kya pi , Zindagi saare nashe mein guzar gayi.

Gam-e-zindagi ke maare hai, har baazi jeet ke haare hai.
Yein jo meri jholi me patthar hai , sab mere chahne walon ne mare hai.
]
Kaun rakhta hai yaad kisii ko  , log chehre tak bhool jate hai. 
Tum samandar ki baat karte ho , log band aankhon mein doob jate hai.

Aaj dil mein phir bekarari hai shayad kuch zakhm ki jagah naki hai.
Phir yaadon ne zakhmon ko sehlaaya hai , ek ehsaas umad aaya hai.

Kab toot jaye kasam hi to hai , kab badal jaye nazar hi to hai.
Kisi ke saath ki aadat na dalna , kab chut jaye zindagi hi to hai.

Dil ki mehfil mein ujalo ke liye , yaadon ki shama jala lete hai.
Jinko jeena hai mohabbat ke liye , apni hasti ko mita  lete hai.

Pyar karna aasaan hi ye dost per mushkil hai nibhana iska.
Pyar ka dam to sabhi bharte hai per kismat se hota hai deedar iska.

Kaun kehta hai juddai hogi , afwah kisi dushman ne uddai hogi.
Shaan se rahenge dil mein tere , itni to jagah hamne banai hogi.

Jo pal pal jale wo deepak , jo pal pal  mehke wo khusbu .
Jo pal pal dhadke wo dil ho pal pal yaad aye wo aap .
Aur jo har pal aapko yad kare wohu..!

Rab se pani manga to sagar diya , phool manga to bagicha diya , ghar manga to mahal diya.
Jab maine rab ko hi mang liya to usne muje aap jaisa pyara dost diya.

Nigahon mein manzil thi , gire aur gir ke sambhalte rahe.
Hawaon ne bahut koshish ki  , magar chirag aandhiyon mein bhi jalte rahe.

Koi aa kar hath mera tham le , Mujhe tanhaiyon se darr lagta hai.
Dil to chahe aapna loon tujhe , Mujhe bewafaiyon se dar lagta hai.

Jaan deke bhi haasil nahi kuch bazar-e-ishq mein yaaron.
Sauda bahut hai mahenga kijiyega to bas pachhtaiyega umar bhar.

Har phool kushboodar nahi hota , har patther chamkdaar nahi hota.
Dosti dekh ker karna yaaron , har dost wafadaar nahi hota.

Chehre pe ashko ki lakeer ban gayi , jo na chaha wo takdeer ban gayi.
Humne to chalai thi ret pe ungli , gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi.

Sapne toot jate hai , Apne rooth jate hai.
Magar jab saath ho tum jaise doston ka,to raho ke kaante bhi  phool ban jate hai.

Bheegi palko ke sang muskurate  hai hum pal pal dil ko bahlate hai hum.
Aap dur hai humse to kyaa hua , har saans me aapki aahat paate hai hum.

Mohabbat hoti nahi surat se , mohabbat to  dil se hoti hai.
Surat to unki khud hi achhi lagti hai , kadar jinki dil se hoti hai.

Pyar ki anokhi murat ho tum , zindagi ki ek zarurat ho tum.
Phool to khoobsurat hote hai ,per phoolo se bhi khoobsurat ho tum.

Pyar ke phoolon se mehkeye aap, khushiyon ke jhoolon  mein jhuleye aap.
Hai hamari yahi tamanna , kabhi hasana na bhooeye aap.


Na karte shikayat zindagi se koi , agar maan jata manane se koi.
Kisi ko kyon yaad karta koi , agar bhool jata bhulane se koi.

SMS harpal karu to shararat hogi , har din karu to pareshani hogi .
Kabhi bhi na karu to , kanjusi hogi per dil se karu to shayad apko khushi hogi.


Dil ki dhadkane sunaye kaise, hum apne dil ka haal bataye kaise.
Dil hai jiske liye deewana , use hum apna banaye kaise.

Yeh dil pyaar ke kabil na raha koi bhi izhar ke kabil na raha.
Is dil mein bas gaya pyaar aapka , ab to chand bhi deedar ke kabil na raha!.

Jeevan behta huwa paani hai ,har saans aani-jaani hai.
Bas kuch dino ka saath hai, phir to yaadon mein zindgi bitani hai.

Jis waqt khuda ne tuje banaya hoga, ek suroor sa unpar chaaya hoga.
Pehle socha hoga tujhe jannat mein rakh loon ,phir usse mera khayal aaya hoga.

 
Dhika kar khwaab en aankhon ko , de gaye aansoon en mein tum.
Kaise chhalka doo yein aansoon en mein bhi to rehte ho tum..

Khud se zara sambhalna sikho , apna dukh chhipana sikho.
Dard  yahan sabko hai dost, par dard mein bhi muskurana sikho.

Dil tu dhadakna band kar, jab jab tu dhadkata hai uski yaad aati hai.
Woh toh khush hogi apni duniya mein, jaan toh pal pal hamari hi jati hai.

Tujhe paane ki jo kasak hai , dhadkan banke dil mein rehti hai.
Kabhi na kabhi milenge hum , har saans meri ye kaheti hai.


Apni zameen apna naya aasmaan paida kar, mangne se zindagi kab milti hai .
Ye dost ,Khud hi apna naya itihaas paida kar.

(Satya)


No comments:

Post a Comment